Mera naam Muhammad Azhar hai. Main DIT (Diploma in Information Technology) ka student hoon aur mujhe MS Word aur MS Excel ka kaam achi tarah se aata hai. Main data entry, typing (English aur Urdu dono), form filling, assignments formatting aur document editing jese kaam karta hoon.
Mujhe MS Office ka use kaafi achi tarah se aata hai. MS Word mein main proper formatting, heading style, table creation, file editing, aur assignments typing karta hoon. MS Excel mein data entry, formulas, table designing, formatting aur sorting/filtering ka experience hai.
Main time ka bahut khayal rakhta hoon aur client ki satisfaction mere liye sabse important hoti hai. Har project me main accuracy, responsibility aur time management ko follow karta hoon. Agar kisi ko file convert karni ho PDF to Word ya Excel to PDF, wo bhi main kar sakta hoon.
Main fast typing karta hoon aur neat, clean work deliver karta hoon. Aap mujh se school/college assignments, office files ya handwritten notes type karwa sakte hain.
Agar aap kisi aise bande ki talash mein hain jo responsible, fast aur reliable ho — to main tayar hoon. Mujhe moka dijiye aapke liye kaam karne ka. Main mehnat se kaam karta hoon aur har kaam ko best banane ki koshish karta hoon.